mumkin hai kahan barson talak shad rahen hum
mumkin hai kahan barson talak shad rahen hum
Jahangeer Khan Jauhar
MORE BYJahangeer Khan Jauhar
mumkin hai kahāñ barsoñ talak shaad raheñ ham
duniyā to chāhtī hai ki barbād raheñ ham
ham muhr-ba-lab zulm-o-sitam par raheñ kab tak
kab tak hadaf-e-nāvak-e-bedād raheñ ham
tārīḳh badalnī hai to phir kaisā taraddud
ye baat alag chand hī afrād raheñ ham
kuchh aisā koī kaam kareñ rū-e-zamīñ par
logoñ ko hamesha ke liye yaad raheñ ham
milnā to bahut duur hai lekin tā-qayāmat
imkāñ hai ki is mulk meñ ābād raheñ ham
mustaqbil-e-insāñ kā taqāzā hai ye 'jauhar'
ki ek na.ī nasl kī buniyād raheñ ham
mumkin hai kahan barson talak shad rahen hum
duniya to chahti hai ki barbaad rahen hum
hum muhr-ba-lab zulm-o-sitam par rahen kab tak
kab tak hadaf-e-nawak-e-bedad rahen hum
tariKH badalni hai to phir kaisa taraddud
ye baat alag chand hi afrad rahen hum
kuchh aisa koi kaam karen ru-e-zamin par
logon ko hamesha ke liye yaad rahen hum
milna to bahut dur hai lekin ta-qayamat
imkan hai ki is mulk mein aabaad rahen hum
mustaqbil-e-insan ka taqaza hai ye 'jauhar'
ki ek nai nasl ki buniyaad rahen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.