mumkin hi nahin ki kinara bhi karega
mumkin hī nahīñ ki kinārā bhī karegā
āshiq hai to phir ishq dobāra bhī karegā
pardes meñ aayā huuñ to kuchh maiñ bhī karūñgā
kuchh kaam mire taḳht kā taarā bhī karegā
andāz yahī hai yahī atvār haiñ us ke
baiThegā bahut duur ishāra bhī karegā
ro.egā kabhī ḳhuub kabhī hañsegā
kyā aur tire tiir kā maarā bhī karegā
jab vaqt paḌā thā to jo kuchh ham ne kiyā thā
samjhe the vahī yaar hamārā bhī karegā
sheroñ meñ 'hilāl' aap ko kahnā hai faqat sach
sach baat magar koī gavārā bhī karegā
mumkin hi nahin ki kinara bhi karega
aashiq hai to phir ishq dobara bhi karega
pardes mein aaya hun to kuchh main bhi karunga
kuchh kaam mere taKHt ka tara bhi karega
andaz yahi hai yahi atwar hain us ke
baiThega bahut dur ishaara bhi karega
roega kabhi KHub kabhi hansega
kya aur tere tir ka mara bhi karega
jab waqt paDa tha to jo kuchh hum ne kiya tha
samjhe the wahi yar hamara bhi karega
sheron mein 'hilal' aap ko kahna hai faqat sach
sach baat magar koi gawara bhi karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.