mumkin jo hui humse wo tadbir kare hain
mumkin jo huī ham se vo tadbīr kare haiñ
jo zaḳhm hare the haañ abhī tak vo hare haiñ
batlāo to rakkheñ bhī kahāñ ġham ke dafīne
bartan jo mayassar the hameñ saare bhare haiñ
ab kaise mile jannat-o-dozaḳh kī bashārat
a.amāl ke sikke to sabhī khoTe khare haiñ
barsoñ se is ehsās meñ halchal nahīñ koī
ik umr huī haath par ham haath dhare haiñ
be-ḳhauf haiñ is daur meñ shaitāñ ke pujārī
allāh ke bande to sabhī sahme Dare haiñ
rahtā hī nahīñ hai kisī rishte meñ tavāzun
jo aql ke nazdīk haiñ vo dil se pare haiñ
marne ke liye kaun jiyā hai yahāñ 'ḳhanda'
dekhā hai ki jiine ke liye log mare haiñ
mumkin jo hui hum se wo tadbir kare hain
jo zaKHm hare the han abhi tak wo hare hain
batlao to rakkhen bhi kahan gham ke dafine
bartan jo mayassar the hamein sare bhare hain
ab kaise mile jannat-o-dozaKH ki bashaarat
aamal ke sikke to sabhi khoTe khare hain
barson se is ehsas mein halchal nahin koi
ek umr hui hath par hum hath dhare hain
be-KHauf hain is daur mein shaitan ke pujari
allah ke bande to sabhi sahme Dare hain
rahta hi nahin hai kisi rishte mein tawazun
jo aql ke nazdik hain wo dil se pare hain
marne ke liye kaun jiya hai yahan 'KHanda'
dekha hai ki jine ke liye log mare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.