mumkin mujhe jo ho be-riya ho
mumkin mujhe jo ho be-riyā ho
masnad ho ki is meñ boriyā ho
jab qābil-e-dīd dil-rubā ho
allāh kare ki bā-vafā ho
bhejā nahīñ ḳhat-e-shauq kab se
mā'lūm huā ki tum ḳhafā ho
be-tābī-e-dil agar dikhā.ūñ
koī na kisī kā mubtalā ho
martā hai zar pe ahl-e-duniyā
nāmard ko kab ḳhvāhish-e-tilā ho
miTTī kar de jo aap ko to
nazroñ meñ ḳhaak kīmiyā ho
aa.ī hai fasl-e-gul chaman meñ
ai hosh-o-ḳhirad chalo havā ho
kyā mujh ko dar-ba-dar phirāyā
ai ḳhvāhish-e-dil tirā burā ho
dikhlā.ī tū ne yaar kī shakl
ai jazba-e-dil tirā bhalā ho
lipTo mujhe aa ke hijr kī shab
ai gesū-e-yār agar balā ho
ai 'muntahī' bazm-e-yār kā haal
kyā jāniye baa'd mere kyā ho
mumkin mujhe jo ho be-riya ho
masnad ho ki is mein boriya ho
jab qabil-e-did dil-ruba ho
allah kare ki ba-wafa ho
bheja nahin KHat-e-shauq kab se
ma'lum hua ki tum KHafa ho
be-tabi-e-dil agar dikhaun
koi na kisi ka mubtala ho
marta hai zar pe ahl-e-duniya
namard ko kab KHwahish-e-tila ho
miTTi kar de jo aap ko to
nazron mein KHak kimiya ho
aai hai fasl-e-gul chaman mein
ai hosh-o-KHirad chalo hawa ho
kya mujh ko dar-ba-dar phiraya
ai KHwahish-e-dil tera bura ho
dikhlai tu ne yar ki shakl
ai jazba-e-dil tera bhala ho
lipTo mujhe aa ke hijr ki shab
ai gesu-e-yar agar bala ho
ai 'muntahi' bazm-e-yar ka haal
kya jaaniye ba'd mere kya ho
- Deewan-e-MuntahiáKaristan-e-Fasahatâ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.