mumkin nahin junun mein magar chahta hun main
mumkin nahīñ junūñ meñ magar chāhtā huuñ maiñ
ya.anī duā se pahle asar chāhtā huuñ maiñ
sab se judā mazāq-e-nazar chāhtā huuñ maiñ
shab hī na jis kī ho vo sahar chāhtā huuñ maiñ
ai chashm-e-mast-e-nāz koī jurm to nahīñ
dīvāngī se hosh agar chāhtā huuñ maiñ
ik iltijā hai sirf mire mālik-e-hayāt
jo ḳham na ho jahāñ se vo sar chāhtā huuñ maiñ
phir kar liyā bahār meñ tāmīr-e-āshiyāñ
phir raushnī-e-barq-o-sharar chāhtā huuñ maiñ
apne tasavvurāt-e-mohabbat kī bazm meñ
aalam tamām pesh-e-nazar chāhtā huuñ maiñ
phir aa.eñ hādsāt-e-zamāna mire qarīb
un kā jamāl apnī nazar chāhtā huuñ maiñ
kyoñ nāgavār ahl-e-chaman ko hai ham-nashīñ
apne liye hayāt agar chāhtā huuñ maiñ
paik-e-talab ko manzil-e-āḳhir kī hai talāsh
muddat ke baad apnī ḳhabar chāhtā huuñ maiñ
phir un ke dekhne kī tamanna nazar ko hai
tārīkiyoñ meñ nūr-e-sahar chāhtā huuñ maiñ
mumkin nahin junun mein magar chahta hun main
yani dua se pahle asar chahta hun main
sab se juda mazaq-e-nazar chahta hun main
shab hi na jis ki ho wo sahar chahta hun main
ai chashm-e-mast-e-naz koi jurm to nahin
diwangi se hosh agar chahta hun main
ek iltija hai sirf mere malik-e-hayat
jo KHam na ho jahan se wo sar chahta hun main
phir kar liya bahaar mein tamir-e-ashiyan
phir raushni-e-barq-o-sharar chahta hun main
apne tasawwuraat-e-mohabbat ki bazm mein
aalam tamam pesh-e-nazar chahta hun main
phir aaen hadsat-e-zamana mere qarib
un ka jamal apni nazar chahta hun main
kyon nagawar ahl-e-chaman ko hai ham-nashin
apne liye hayat agar chahta hun main
paik-e-talab ko manzil-e-aKHir ki hai talash
muddat ke baad apni KHabar chahta hun main
phir un ke dekhne ki tamanna nazar ko hai
tarikiyon mein nur-e-sahar chahta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.