mumkin nahin KHuda ke is inam ke baghair
mumkin nahīñ ḳhudā ke is in.aam ke baġhair
hotī kahāñ hai shā.erī ilhām ke baġhair
kuchh is tarah se zindagī us ne bayān kī
jaise ho baat merī mire naam ke baġhair
haavī mohabbatoñ pe bhī ḳhud-ġharziyāñ huiiñ
miltā kisī se kaun hai ab kaam ke baġhair
kheleñ bhī aag se raheñ mahfūz haath bhī
āġhāz chāhiye tumheñ anjām ke baġhair
kyā qadr raushnī kī añdherā agar na ho
kyā lutf deñ masarrateñ ālām ke baġhair
mumkin nahin KHuda ke is inam ke baghair
hoti kahan hai shaeri ilham ke baghair
kuchh is tarah se zindagi us ne bayan ki
jaise ho baat meri mere nam ke baghair
hawi mohabbaton pe bhi KHud-gharziyan huin
milta kisi se kaun hai ab kaam ke baghair
khelen bhi aag se rahen mahfuz hath bhi
aaghaz chahiye tumhein anjam ke baghair
kya qadr raushni ki andhera agar na ho
kya lutf den masarraten aalam ke baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.