mumkin nahin ki faiz-e-junun raegan rahe
mumkin nahīñ ki faiz-e-junūñ rā.egāñ rahe
ye bhī to ik nishāñ hai ki ham be-nishāñ rahe
aajiz tirī talāsh meñ kaun-o-makāñ rahe
ab jo tujhe talāsh kare vo kahāñ rahe
be-vāsta nazāra-e-shān-e-jamāl kar
ye bhī hai ik ḳhatā ki nazar darmiyāñ rahe
taufīq de ki pesh karūñ ġham ko is tarah
duniyā ko mere ġham pe ḳhushī kā gumāñ rahe
shaam un kī ik adā hai sahar un kā ek nuur
ya.anī ki vo ayaañ na hue aur ayaañ rahe
baḳhshā hai mujh ko un kī nazar ne zahe karam
vo hosh jis pe be-ḳhabarī kā gumāñ rahe
shauq-e-suḳhan fuzūl hai 'shāhid' baġhair-e-ishq
dil meñ koī ḳhalish ho to muñh meñ zabāñ rahe
mumkin nahin ki faiz-e-junun raegan rahe
ye bhi to ek nishan hai ki hum be-nishan rahe
aajiz teri talash mein kaun-o-makan rahe
ab jo tujhe talash kare wo kahan rahe
be-wasta nazara-e-shan-e-jamal kar
ye bhi hai ek KHata ki nazar darmiyan rahe
taufiq de ki pesh karun gham ko is tarah
duniya ko mere gham pe KHushi ka guman rahe
sham un ki ek ada hai sahar un ka ek nur
yani ki wo ayan na hue aur ayan rahe
baKHsha hai mujh ko un ki nazar ne zahe karam
wo hosh jis pe be-KHabari ka guman rahe
shauq-e-suKHan fuzul hai 'shahid' baghair-e-ishq
dil mein koi KHalish ho to munh mein zaban rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.