mumkin nahin ki teri mohabbat ki bu na ho
mumkin nahīñ ki terī mohabbat kī bū na ho
kāfir agar hazār baras dil meñ tū na ho
kyā lutf-e-intizār jo tū hīla-jū na ho
kis kaam kā visāl agar aarzū na ho
mahshar meñ aur un se mirī dū-ba-dū na ho
kahne kī baat hai jo koī guftugū na ho
qātil agar na shoḳh ho ḳhanjar agar na tez
rag rag meñ be-qarār hamārā lahū na ho
ḳhalvat meñ tujh ko chain nahīñ kis kā ḳhauf hai
andesha kuchh na ho jo nazar chaar sū na ho
surḳhī hai teġh par na hinā tere haath meñ
qātil kahīñ safed adū kā lahū na ho
vo aadmī kahāñ hai vo insān hai kahāñ
jo dost kā ho dost adū kā adū na ho
dil ko masal masal ke zarā haath sūñghiye
mumkin nahīñ ki ḳhūn-e-tamannā kī bū na ho
zāhid mazā to jab hai azaab o savāb kā
dozaḳh meñ bāda-kash na hoñ jannat meñ tū na ho
māshūq-e-hijr us se ziyāda koī nahīñ
kyā dil-lagī rahe jo tirī aarzū na ho
aise kahāñ nasīb ki vo but ho ham-kalām
ham tuur par bhī jaa.eñ to kuchh guftugū na ho
dast-e-duā ko miltī hai tāsīr arsh se
jo haath se ho paañv se vo justujū na ho
ġhash aa na jaa.e dekh ke qātil ko mauj-e-ḳhūñ
nāzuk-mizāj kā kahīñ halkā lahū na ho
hai laag kā mazā dil-e-be-mudda.ā ke saath
tum kyā karo kisī ko agar aarzū na ho
ye TuuT kar kabhī na banegā kisī tarah
zāhid shikast-e-tauba shikast-e-sabū na ho
ai 'dāġh' aa ke phir ga.e vo is ko kyā kareñ
puurī jo nā-murād tirī aarzū na ho
mumkin nahin ki teri mohabbat ki bu na ho
kafir agar hazar baras dil mein tu na ho
kya lutf-e-intizar jo tu hila-ju na ho
kis kaam ka visal agar aarzu na ho
mahshar mein aur un se meri du-ba-du na ho
kahne ki baat hai jo koi guftugu na ho
qatil agar na shoKH ho KHanjar agar na tez
rag rag mein be-qarar hamara lahu na ho
KHalwat mein tujh ko chain nahin kis ka KHauf hai
andesha kuchh na ho jo nazar chaar su na ho
surKHi hai tegh par na hina tere hath mein
qatil kahin safed adu ka lahu na ho
wo aadmi kahan hai wo insan hai kahan
jo dost ka ho dost adu ka adu na ho
dil ko masal masal ke zara hath sunghiye
mumkin nahin ki KHun-e-tamanna ki bu na ho
zahid maza to jab hai azab o sawab ka
dozaKH mein baada-kash na hon jannat mein tu na ho
mashuq-e-hijr us se ziyaada koi nahin
kya dil-lagi rahe jo teri aarzu na ho
aise kahan nasib ki wo but ho ham-kalam
hum tur par bhi jaen to kuchh guftugu na ho
dast-e-dua ko milti hai tasir arsh se
jo hath se ho panw se wo justuju na ho
ghash aa na jae dekh ke qatil ko mauj-e-KHun
nazuk-mizaj ka kahin halka lahu na ho
hai lag ka maza dil-e-be-muddaa ke sath
tum kya karo kisi ko agar aarzu na ho
ye TuT kar kabhi na banega kisi tarah
zahid shikast-e-tauba shikast-e-sabu na ho
ai 'dagh' aa ke phir gae wo is ko kya karen
puri jo na-murad teri aarzu na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.