munafiq dawa-e-iman mein sachcha ho nahin sakta
munafiq dawa-e-iman mein sachcha ho nahin sakta
Wahid Ansari Burhanpur
MORE BYWahid Ansari Burhanpur
munāfiq dāvā-e-īmāñ meñ sachchā ho nahīñ saktā
ki gobar phir bhī gobar hai vo halva ho nahīñ saktā
jo ḳhālis netā hai va.ade kā pakkā ho nahīñ saktā
ki jaise jeb meñ ganje ke kanghā ho nahīñ saktā
jahāñ ke rustam-o-dārā ke chhakke chhūT jā.eñge
musalmāñ muttahid ho jaa.eñ to kyā ho nahīñ saktā
pahan kar burqa ātank-vādī lagtī haiñ mahilā.eñ
jise tum parda kahte ho vo parda ho nahīñ saktā
gadhe ko baap kahtī hai ye duniyā vaqt paḌne par
amal tū bhī kare is par to lafḌā ho nahīñ saktā
mire ustād kahte the gadhe kī piiTh par 'vāhid'
kitābeñ laad dene se vo mullā ho nahīñ saktā
munafiq dawa-e-iman mein sachcha ho nahin sakta
ki gobar phir bhi gobar hai wo halwa ho nahin sakta
jo KHalis neta hai wade ka pakka ho nahin sakta
ki jaise jeb mein ganje ke kangha ho nahin sakta
jahan ke rustam-o-dara ke chhakke chhuT jaenge
musalman muttahid ho jaen to kya ho nahin sakta
pahan kar burqa aatank-wadi lagti hain mahilaen
jise tum parda kahte ho wo parda ho nahin sakta
gadhe ko bap kahti hai ye duniya waqt paDne par
amal tu bhi kare is par to lafDa ho nahin sakta
mere ustad kahte the gadhe ki piTh par 'wahid'
kitaben lad dene se wo mulla ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.