munafiq hain KHabar hai wo karenge war chupke se
munāfiq haiñ ḳhabar hai vo kareñge vaar chupke se
hameñ suulī chaḌhā.eñge hamāre yaar chupke se
bhañvar dariyā ke gahre haiñ shanāvar bhī nahīñ huuñ maiñ
safīna ban ke ye lahreñ karūñgā paar chupke se
bichhā.e phuul jin kī raah meñ ham ne sadā us ne
'evaz phūloñ ke hāthoñ meñ chubho.e ḳhaar chupke se
kabhī jab us se ye pūchhā ki kyā mujh se mohabbat hai
nafī meñ sar hilāyā phir kiyā iqrār chupke se
gale lag kar maiñ royā thā sabhī peḌoñ se pat-jhaḌ meñ
so mujh se guftugū karne lage ashjār chupke se
tumheñ ye jis ne mimbar par farebī se biThāyā hai
vo rafta-rafta kholeñge tirī dastār chupke se
sadā haq kī koī 'sārim' lagā.e gar to sab zālim
galā us kā dabā.eñge sar-e-bāzār chupke se
munafiq hain KHabar hai wo karenge war chupke se
hamein suli chaDhaenge hamare yar chupke se
bhanwar dariya ke gahre hain shanawar bhi nahin hun main
safina ban ke ye lahren karunga par chupke se
bichhae phul jin ki rah mein hum ne sada us ne
'ewaz phulon ke hathon mein chubhoe KHar chupke se
kabhi jab us se ye puchha ki kya mujh se mohabbat hai
nafi mein sar hilaya phir kiya iqrar chupke se
gale lag kar main roya tha sabhi peDon se pat-jhaD mein
so mujh se guftugu karne lage ashjar chupke se
tumhein ye jis ne mimbar par farebi se biThaya hai
wo rafta-rafta kholenge teri dastar chupke se
sada haq ki koi 'sarim' lagae gar to sab zalim
gala us ka dabaenge sar-e-bazar chupke se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.