munfarid rang mile fikr mein jiddat nikle
munfarid rang mile fikr meñ jiddat nikle
maiñ agar sher kahūñ itnī to ujrat nikle
khiḌkiyāñ khol do uḌ jaane do ḳhvāhish ke parind
vo jo sar meñ hai samā.ī huī vahshat nikle
sochtā kyoñ hai bichhaḌ jaane kī nisbat se miyāñ
is se pahle ki koī milne kī sūrat nikle
us kī āñkhoñ se chhalak jā.ūñ maiñ aañsū ban kar
zindagī meñ kabhī itnī to suhūlat nikle
kyā kareñ ham tire ash.ār pe tanqīd 'nadīm'
kab koī nukta-e-tauhīn-e-adālat nikle
munfarid rang mile fikr mein jiddat nikle
main agar sher kahun itni to ujrat nikle
khiDkiyan khol do uD jaane do KHwahish ke parind
wo jo sar mein hai samai hui wahshat nikle
sochta kyon hai bichhaD jaane ki nisbat se miyan
is se pahle ki koi milne ki surat nikle
us ki aankhon se chhalak jaun main aansu ban kar
zindagi mein kabhi itni to suhulat nikle
kya karen hum tere ashaar pe tanqid 'nadim'
kab koi nukta-e-tauhin-e-adalat nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.