munh aansuon se apna abas dho rahe ho kyun
muñh āñ.suoñ se apnā abas dho rahe ho kyuuñ
hañste jahān biich khaḌe ro rahe ho kyuuñ
aa jaao apne mukh se mukhauTā utaar kar!
bahrūpiyoñ ke saath samay kho rahe ho kyuuñ
kyā is se hogā ruuh ke zaḳhmoñ ko fā.eda
TuuTe diloñ kī sun ke sadā ro rahe ho kyuuñ
is ghūmtī zamīn kā mehvar hī toḌ do
be-kār gardishoñ pe ḳhafā ho rahe ho kyuuñ
ye būḌhī nasl jab ki tumheñ māntī nahīñ
apne badan meñ is kā lahū Dho rahe ho kyuuñ
munh aansuon se apna abas dho rahe ho kyun
hanste jahan bich khaDe ro rahe ho kyun
aa jao apne mukh se mukhauTa utar kar!
bahrupiyon ke sath samay kho rahe ho kyun
kya is se hoga ruh ke zaKHmon ko faeda
TuTe dilon ki sun ke sada ro rahe ho kyun
is ghumti zamin ka mehwar hi toD do
be-kar gardishon pe KHafa ho rahe ho kyun
ye buDhi nasl jab ki tumhein manti nahin
apne badan mein is ka lahu Dho rahe ho kyun
- Book : kushaad (Pg. 96)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.