munh apni riwayat se phera nahin karte
muñh apnī rivāyāt se pherā nahīñ karte
dushman ko achānak kabhī gherā nahīñ karte
dīvār ke pīchhe koī rahzan na chhupā ho
is vāste ham ghar meñ añdherā nahīñ karte
jis peḌ kī chhāñv bhī lage dhuup kī sūrat
us peḌ pe panchhī bhī baserā nahīñ karte
āñkhoñ se na paḌh le koī chehre kī udāsī
us Dar se kabhī zikr vo merā nahīñ karte
bas yūñhī hameñ yaad to aa jaatā hai varna
dānista kabhī tazkira terā nahīñ karte
ham sīñchte haiñ kisht-e-sahar apne lahū se
māñge hue sūraj se saverā nahīñ karte
lahrāte haiñ shānoñ pe 'hasan' zulf vo kam kam
saaya to vo karte haiñ ghanerā nahīñ karte
munh apni riwayat se phera nahin karte
dushman ko achanak kabhi ghera nahin karte
diwar ke pichhe koi rahzan na chhupa ho
is waste hum ghar mein andhera nahin karte
jis peD ki chhanw bhi lage dhup ki surat
us peD pe panchhi bhi basera nahin karte
aankhon se na paDh le koi chehre ki udasi
us Dar se kabhi zikr wo mera nahin karte
bas yunhi hamein yaad to aa jata hai warna
danista kabhi tazkira tera nahin karte
hum sinchte hain kisht-e-sahar apne lahu se
mange hue suraj se sawera nahin karte
lahraate hain shanon pe 'hasan' zulf wo kam kam
saya to wo karte hain ghanera nahin karte
- Book : Khawab Suhane yaad aate hain (Pg. 14)
- Author : Hasan Rizvi
- Publication : Khazina ilm-o-adab al-karim market urdu bazar, Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.