munh banae hue phirta hai wo kal se humse
muñh banā.e hue phirtā hai vo kal se ham se
koī aaj us ko milā de kasī kal se ham se
nāla-o-āh-o-fuġhāñ kyuuñ na huuñ hamdam apne
dostī ishq ko hai roz-e-azal se ham se
naala ḳhāmosh phir āzurda na ho jaa.e kahīñ
aaj bolā hai vo kas radd-o-badal se ham se
ḳhauf rakhte haiñ tarī kam-nigahī kā varna
yaar Darte haiñ koī teġh-e-ajal se ham se
'joshish' us arbada-jū turk-e-sitam-gār ne aaj
āshtī kī hai baḌī jañg-o-jadal se ham se
munh banae hue phirta hai wo kal se hum se
koi aaj us ko mila de kasi kal se hum se
nala-o-ah-o-fughan kyun na hun hamdam apne
dosti ishq ko hai roz-e-azal se hum se
nala KHamosh phir aazurda na ho jae kahin
aaj bola hai wo kas radd-o-badal se hum se
KHauf rakhte hain tari kam-nigahi ka warna
yar Darte hain koi tegh-e-ajal se hum se
'joshish' us arbada-ju turk-e-sitam-gar ne aaj
aashti ki hai baDi jang-o-jadal se hum se
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.