munh-bola bol jagat ka hai jo man mein rahe so apna hai
munh-bola bol jagat ka hai jo man mein rahe so apna hai
Farhat Kanpuri
MORE BYFarhat Kanpuri
muñh-bolā bol jagat kā hai jo man meñ rahe so apnā hai
ye dil kā mīThā mīThā dard bhī gūñge kā sā sapnā hai
yā ruḳh ko havā ke pher de tū yā ruḳh pe havā ke bahtā chal
sansār khapā le apne meñ sansār meñ varna khapnā hai
marnā hī nahīñ ye jiinā hai ye prem kī jvālā hai jis meñ
chāñdī kī tarah se galnā hai sone kī tarah se tapnā hai
is māyā-jāl se bach kar chal har ek qadam par phandā hai
sansār kī maayā dhokā hai sansār kī maayā sapnā hai
ab dil kī taḌap meñ jīvan hai jīvan meñ taḌap hai bijlī kī
ab dil ko sadā hī dhḌaknā hai 'farhat' ko sadā hī taḌapnā hai
munh-bola bol jagat ka hai jo man mein rahe so apna hai
ye dil ka miTha miTha dard bhi gunge ka sa sapna hai
ya ruKH ko hawa ke pher de tu ya ruKH pe hawa ke bahta chal
sansar khapa le apne mein sansar mein warna khapna hai
marna hi nahin ye jina hai ye prem ki jwala hai jis mein
chandi ki tarah se galna hai sone ki tarah se tapna hai
is maya-jal se bach kar chal har ek qadam par phanda hai
sansar ki maya dhoka hai sansar ki maya sapna hai
ab dil ki taDap mein jiwan hai jiwan mein taDap hai bijli ki
ab dil ko sada hi dhDakna hai 'farhat' ko sada hi taDapna hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 167)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.