munh kis tarah se moD lun aise payam se
muñh kis tarah se moḌ luuñ aise payām se
mujh ko bulā rahā hai vo ḳhud apne naam se
so.e to sabz pair kā saaya sarak gayā
Derā jamā rakhā thā baḌe ehtimām se
kaise miTā sakegā mujhe sail-e-āb-o-gil
nisbat hai mere naqsh ko naqsh-e-davām se
go shahr-e-ḳhuftgāñ meñ qayāmat kā ran paḌā
talvār phir bhī niklī na koī niyām se
haala banā rahā hai tū ab un ke zikr kā
kab ke ga.e vo log salām-o-payām se
maiñ to asīr-e-garmī-e-bāzār huuñ 'rashīd'
mujh ko ġharaz na jins se darham na daam se
munh kis tarah se moD lun aise payam se
mujh ko bula raha hai wo KHud apne nam se
soe to sabz pair ka saya sarak gaya
Dera jama rakha tha baDe ehtimam se
kaise miTa sakega mujhe sail-e-ab-o-gil
nisbat hai mere naqsh ko naqsh-e-dawam se
go shahr-e-KHuftgan mein qayamat ka ran paDa
talwar phir bhi nikli na koi niyam se
haala bana raha hai tu ab un ke zikr ka
kab ke gae wo log salam-o-payam se
main to asir-e-garmi-e-bazar hun 'rashid'
mujh ko gharaz na jins se darham na dam se
- Book : Fasiil-e-lab (Pg. 105)
- Author : Rashiid Qaisarani
- Publication : Aiwan-e-urdu Taimuriya karachi (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.