munh kitabi tera bayazi nain
muñh kitābī terā bayāzī na.iiñ
vo javābī hai e'tirāzī na.iiñ
sarv har-chand hai ġhulām tirā
lekin āzādgī kā raazī na.iiñ
sāhib-e-hāl ko zamāne meñ
fikr-e-mustaqbil aur maazī na.iiñ
daad be-dād tujh sitam suuñ hai
bas-ki shahr-e-husn meñ qaazī na.iiñ
'mubtalā' baaġh meñ hai shor-o-fuġhāñ
gul kuuñ bulbul kī kuchh taqāzī na.iiñ
munh kitabi tera bayazi nain
wo jawabi hai e'tiraazi nain
sarw har-chand hai ghulam tera
lekin aazadgi ka raazi nain
sahib-e-haal ko zamane mein
fikr-e-mustaqbil aur mazi nain
dad be-dad tujh sitam sun hai
bas-ki shahr-e-husn mein qazi nain
'mubtala' bagh mein hai shor-o-fughan
gul kun bulbul ki kuchh taqazi nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.