munh par to kitna ras ghola jata hai
muñh par to kitnā ras gholā jaatā hai
pīchhe jaane kyā kyā bolā jaatā hai
hotā thā pahle me'yār kabhī un kā
ab rishtoñ ko dhan se tolā jaatā hai
mil jaatī hai ek na.ī ichchhā us meñ
man ko jitnī baar TaTolā jaatā hai
mil jaate haiñ sukh-dukh donoñ hī us meñ
jab yādoñ kā baksā kholā jaatā hai
aap siyāsat-dāñ haiñ ḳhuub samajhte haiñ
badlā kaise har din cholā jaatā hai
dhyān sabhī kā dekhā ḳhud par to jaanā
chup rah kar bhī kitnā bolā jaatā hai
har dam to ḳhāmoshī oḌh nahīñ sakte
vaqt-e-zarūrat muñh bhī kholā jaatā hai
munh par to kitna ras ghola jata hai
pichhe jaane kya kya bola jata hai
hota tha pahle me'yar kabhi un ka
ab rishton ko dhan se tola jata hai
mil jati hai ek nai ichchha us mein
man ko jitni bar TaTola jata hai
mil jate hain sukh-dukh donon hi us mein
jab yaadon ka baksa khola jata hai
aap siyasat-dan hain KHub samajhte hain
badla kaise har din chola jata hai
dhyan sabhi ka dekha KHud par to jaana
chup rah kar bhi kitna bola jata hai
har dam to KHamoshi oDh nahin sakte
waqt-e-zarurat munh bhi khola jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.