Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

munh pe khata hai ye is tarah se talwar ki bas

Inamullah Khan Yaqeen

munh pe khata hai ye is tarah se talwar ki bas

Inamullah Khan Yaqeen

MORE BYInamullah Khan Yaqeen

    muñh pe khātā hai ye is tarah se talvār ki bas

    dil mirā ishq meñ aisā hai jigar-dār ki bas

    naza.a meñ dekh mujhe yaar jhijak kar bolā

    kyā burī tarah se martā hai ye bīmār ki bas

    aap ko bech ke yūsuf ne zuleḳhā ko liyā

    kyā ḳharīdār ne paayā hai ḳharīdār ki bas

    is jhaḌī setī kahīñ gir na paḌe bām-e-falak

    is tarah rote haiñ tujh bin dar-o-dīvār ki bas

    ishq ke dār-e-shifā meñ mujhe le chal 'yaqīñ'

    ki tabīboñ ne diyā is qadar āzār ki bas

    munh pe khata hai ye is tarah se talwar ki bas

    dil mera ishq mein aisa hai jigar-dar ki bas

    naza mein dekh mujhe yar jhijak kar bola

    kya buri tarah se marta hai ye bimar ki bas

    aap ko bech ke yusuf ne zuleKHa ko liya

    kya KHaridar ne paya hai KHaridar ki bas

    is jhaDi seti kahin gir na paDe baam-e-falak

    is tarah rote hain tujh bin dar-o-diwar ki bas

    ishq ke dar-e-shifa mein mujhe le chal tu 'yaqin'

    ki tabibon ne diya is qadar aazar ki bas

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now