munjamid muskurahaTen lab par
munjamid muskurāhaTeñ lab par
dil ke andar udāsiyoñ kā raaj
chāñd sī sūrateñ gahan meñ haiñ
zindagī le rahī hai apnā ḳharāj
kisī yādoñ ke naqsh dil se miTe
vaqt ke saare zaḳhm vaqt-e-ilāj
koī parcham ho shab-zadoñ ke liye
sub.h-e-nau kā zuhūr kal hai na aaj
munjamid muskurahaTen lab par
dil ke andar udasiyon ka raj
chand si suraten gahan mein hain
zindagi le rahi hai apna KHaraj
kisi yaadon ke naqsh dil se miTe
waqt ke sare zaKHm waqt-e-ilaj
koi parcham ho shab-zadon ke liye
subh-e-nau ka zuhur kal hai na aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.