munjamid the meri palkon ke kinare aansu
munjamid the mirī palkoñ ke kināre aañsū
bah ga.e aaj vo yādoñ ke sahāre aañsū
kyoñ ki apnoñ ne hī baḳhshe haiñ ye saare aañsū
is liye bhī hai hameñ jaan se pyāre aañsū
sāmne sab ke nikal aa.e nahīñ hai mumkin
itne kam-zarf nahīñ haiñ ye hamāre aañsū
mo'jiza aur bhalā is se baḌā kyā hogā
dard is dil meñ hai girte haiñ tumhāre aañsū
haa.e afsos jab āñkheñ hī nahīñ detīñ jagah
be-amāñ hote haiñ tab dard ke maare aañsū
kisī sūrat se bhī ḳhālī nahīñ jaane vaale
tere dar aa.e haiñ dāman ko pasāre aañsū
ik nayā zāviya aa.egā kahānī meñ agar
tere aañsū se jo mil jaa.eñ hamāre aañsū
muntazir dil hai ye armān saje haiñ is meñ
poñchh de aa ke inheñ raah nihāre aañsū
munjamid the meri palkon ke kinare aansu
bah gae aaj wo yaadon ke sahaare aansu
kyon ki apnon ne hi baKHshe hain ye sare aansu
is liye bhi hai hamein jaan se pyare aansu
samne sab ke nikal aae nahin hai mumkin
itne kam-zarf nahin hain ye hamare aansu
mo'jiza aur bhala is se baDa kya hoga
dard is dil mein hai girte hain tumhaare aansu
hae afsos jab aankhen hi nahin detin jagah
be-aman hote hain tab dard ke mare aansu
kisi surat se bhi KHali nahin jaane wale
tere dar aae hain daman ko pasare aansu
ek naya zawiya aaega kahani mein agar
tere aansu se jo mil jaen hamare aansu
muntazir dil hai ye arman saje hain is mein
ponchh de aa ke inhen rah nihaare aansu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.