munkashif talKHi-e-haalat na hone pai
munkashif talḳhī-e-hālāt na hone paa.ī
aap aa.e bhī to kuchh baat na hone paa.ī
dil bhar aayā bhī to āñkhoñ se na Tapke aañsū
abr chhāyā bhī to barsāt na hone paa.ī
aap se mil ke bhī aksar yahī mahsūs huā
aap se goyā mulāqāt na hone paa.ī
ham ne jiite hue dekhā to hai dil vāloñ ko
par 'ayāñ sūrat-e-hālāt na hone paa.ī
'soz' har roz huī raat magar hijr kī raat
vasl kī raat koī raat na hone paa.ī
munkashif talKHi-e-haalat na hone pai
aap aae bhi to kuchh baat na hone pai
dil bhar aaya bhi to aankhon se na Tapke aansu
abr chhaya bhi to barsat na hone pai
aap se mil ke bhi aksar yahi mahsus hua
aap se goya mulaqat na hone pai
hum ne jite hue dekha to hai dil walon ko
par 'ayan surat-e-haalat na hone pai
'soz' har roz hui raat magar hijr ki raat
wasl ki raat koi raat na hone pai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.