munkir hote hain hunar wale
munkir hote haiñ hunar vaale
naḳhl jhuk jaate haiñ samar vaale
ham ne ghūrā to hañs ke farmāyā
achchhe aa.e burī nazar vaale
meñhdī mal kar vo shoḳh kahtā hai
señk leñ āñkheñ chashm-e-tar vaale
hai salāmat jo sañg-e-dar un kā
saikḌoñ mujh se dard-e-sar vaale
'qadr' kyā apne paas dil ke sivā
uḌeñ par vaale phūleñ zar vaale
munkir hote hain hunar wale
naKHl jhuk jate hain samar wale
hum ne ghura to hans ke farmaya
achchhe aae buri nazar wale
meinhdi mal kar wo shoKH kahta hai
senk len aankhen chashm-e-tar wale
hai salamat jo sang-e-dar un ka
saikDon mujh se dard-e-sar wale
'qadr' kya apne pas dil ke siwa
uDen par wale phulen zar wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.