munsalik ho kar tumhaare nam se
munsalik ho kar tumhāre naam se
mutma.in huuñ gardish-e-ayyām se
ban ga.e mere liye ilzām se
jo payām aa.e tumhāre naam se
hai tasavvur meñ tire gesū kī chhāñv
niiñd aa.ī hai baḌe ārām se
jin kī tahrīroñ se pahchānā gayā
kuchh ḳhutūt aise bhī the gumnām se
aaj tanhā aap hī rusvā nahīñ
ho ga.e haiñ ham bhī kuchh badnām se
tere aane kī ḳhabar ke bāvajūd
kis qadar be-tābiyāñ haiñ shaam se
kuchh kasar marne meñ baaqī hī na thī
jī uThā 'bismil' tire paiġhām se
munsalik ho kar tumhaare nam se
mutmain hun gardish-e-ayyam se
ban gae mere liye ilzam se
jo payam aae tumhaare nam se
hai tasawwur mein tere gesu ki chhanw
nind aai hai baDe aaram se
jin ki tahriron se pahchana gaya
kuchh KHutut aise bhi the gumnam se
aaj tanha aap hi ruswa nahin
ho gae hain hum bhi kuchh badnam se
tere aane ki KHabar ke bawajud
kis qadar be-tabiyan hain sham se
kuchh kasar marne mein baqi hi na thi
ji uTha 'bismil' tere paigham se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.