munsif ho bhala hukm suna kyon nahin dete
munsif ho bhalā hukm sunā kyoñ nahīñ dete
mujrim huuñ agar maiñ to sazā kyoñ nahīñ dete
dīvār khaḌī ho ga.ī nafrat kī bahar-sū
arbāb-e-vafā is ko girā kyoñ nahīñ dete
vo ḳhūgar-e-dushnām jo aflāk-nashīñ haiñ
auqāt kabhī un kī batā kyoñ nahīñ dete
kuchh der ke hī vāste hogā to ujālā
in jhoñpaḌoñ meñ aag lagā kyoñ nahīñ dete
phir koī Tsunami kī sadā guuñj rahī hai
ḳhvābīda haiñ jo log jagā kyoñ nahīñ dete
raTtī rahī beTe kī judā.ī pe shab-o-roz
tum shakl zarā maañ ko dikhā kyoñ nahīñ dete
is se to faqat zaḳhm harā hotā hai 'anjum'
farsūda hikāyāt bhulā kyoñ nahīñ dete
munsif ho bhala hukm suna kyon nahin dete
mujrim hun agar main to saza kyon nahin dete
diwar khaDi ho gai nafrat ki bahar-su
arbab-e-wafa is ko gira kyon nahin dete
wo KHugar-e-dushnam jo aflak-nashin hain
auqat kabhi un ki bata kyon nahin dete
kuchh der ke hi waste hoga to ujala
in jhonpaDon mein aag laga kyon nahin dete
phir koi Tsunami ki sada gunj rahi hai
KHwabida hain jo log jaga kyon nahin dete
raTti rahi beTe ki judai pe shab-o-roz
tum shakl zara man ko dikha kyon nahin dete
is se to faqat zaKHm hara hota hai 'anjum'
farsuda hikayat bhula kyon nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.