muntashir hote hue ambar ko taswir kar
muntashir hote hue ambār ko tasvīr kar
soch kī photo banā afkār ko tasvīr kar
sabr ko kar canvas jo yaar kī ḳhātir sahā
yaar kī photo banā phir ġhaar ko tasvīr kar
camere meñ qaid kar tahrīr kī taklīf ko
hijr meñ likkhe ga.e ash.ār ko tasvīr kar
raat din phir un se kar to ham-kalāmī guftugū
iiñT kā ik dil banā dīvār ko tasvīr kar
ik qayāmat dekh le rohingya par TūTtī
dard ko ik shakl de āzār ko tasvīr kar
ḳhvāhishoñ ke ḳhūbsūrat qasr kī ta.amīr kar
kar mujassam ḳhvāb ko me.amār ko tasvīr kar
muntashir hote hue ambar ko taswir kar
soch ki photo bana afkar ko taswir kar
sabr ko kar canwas jo yar ki KHatir saha
yar ki photo bana phir ghaar ko taswir kar
camere mein qaid kar tahrir ki taklif ko
hijr mein likkhe gae ashaar ko taswir kar
raat din phir un se kar to ham-kalami guftugu
inT ka ek dil bana diwar ko taswir kar
ek qayamat dekh le rohingya par TuTti
dard ko ek shakl de aazar ko taswir kar
KHwahishon ke KHubsurat qasr ki tamir kar
kar mujassam KHwab ko meamar ko taswir kar
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.