muntashir muntashir hain KHwab bahut
muntashir muntashir haiñ ḳhvāb bahut
raushnī ban ga.ī azaab bahut
dil salāmat to raushnī ke liye
āftāb aur māhtāb bahut
qatre qatre meñ hai tilism hazār
zarre zarre meñ hai sairāb bahut
ishrat-e-tābish-e-guhar na sahī
imbisāt-e-sarishk-e-nāb bahut
ik hamīñ to nahīñ haiñ ḳhāk-basar
ham se haiñ ḳhānumāñ-ḳharāb bahut
dhuup se tamtamā rahā hai vajūd
hai abhī tez āftāb bahut
muntashir muntashir hain KHwab bahut
raushni ban gai azab bahut
dil salamat to raushni ke liye
aaftab aur mahtab bahut
qatre qatre mein hai tilism hazar
zarre zarre mein hai sairab bahut
ishrat-e-tabish-e-guhar na sahi
imbisat-e-sarishk-e-nab bahut
ek hamin to nahin hain KHak-basar
hum se hain KHanuman-KHarab bahut
dhup se tamtama raha hai wajud
hai abhi tez aaftab bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.