muntashir tare piro kar kahkashan paida karo
muntashir taare piro kar kahkashāñ paidā karo
bhiiḌ se afrād kī ik kārvāñ paidā karo
aur sab kuchh baad meñ ai sāhibān-e-taḳht-o-tāj
sab se pahle mulk meñ amn-o-amāñ paidā karo
surḳh-rū kar de tumheñ ik baar phir aqvām meñ
apne andar aisī vaz.a-e-raftagāñ paidā karo
sa.i-e-paiham aur īmāñ lāzim-o-malzūm haiñ
misl-e-marva paaoñ se āb-e-ravāñ paidā karo
aah se mazlūm kī ātish-fishāñ bedār kar
jo jalā kar ḳhaak kar de vo fuġhāñ paidā karo
ġharq kar do zālimoñ ko daur-e-istibdād ko
arq-e-peshānī se bahr-e-be-karāñ paidā karo
bastiyāñ ābād kar do shahr-e-jāñ raushan karo
sho.ala-e-soz-e-nihāñ se bijliyāñ paidā karo
hijrateñ kab tak karoge charḳh-e-kohna ke tale
ik zamīñ mahfūz aur ik āsmāñ paidā karo
āsmāñ-bandī karo haaro na hargiz hausla
ek par hī bas nahīñ saat āsmāñ paidā karo
kuchh zarūrī to nahīñ 'shāhid' ki laao jū-e-shīr
mashq-e-tesha ke liye koh-e-girāñ paidā karo
muntashir tare piro kar kahkashan paida karo
bhiD se afrad ki ek karwan paida karo
aur sab kuchh baad mein ai sahiban-e-taKHt-o-taj
sab se pahle mulk mein amn-o-aman paida karo
surKH-ru kar de tumhein ek bar phir aqwam mein
apne andar aisi waza-e-raftagan paida karo
sai-e-paiham aur iman lazim-o-malzum hain
misl-e-marwa paon se aab-e-rawan paida karo
aah se mazlum ki aatish-fishan bedar kar
jo jala kar KHak kar de wo fughan paida karo
gharq kar do zalimon ko daur-e-istibdad ko
arq-e-peshani se bahr-e-be-karan paida karo
bastiyan aabaad kar do shahr-e-jaan raushan karo
shoala-e-soz-e-nihan se bijliyan paida karo
hijraten kab tak karoge charKH-e-kohna ke tale
ek zamin mahfuz aur ek aasman paida karo
aasman-bandi karo haaro na hargiz hausla
ek par hi bas nahin sat aasman paida karo
kuchh zaruri to nahin 'shahid' ki lao ju-e-shir
mashq-e-tesha ke liye koh-e-giran paida karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.