muntazir baiTha hun yun jaise koi aane ko hai
muntazir baiThā huuñ yuuñ jaise koī aane ko hai
jalva-e-rañgīñ kā aalam ruuh par chhāne ko hai
aisā lagtā hai ki phir ik inqalāb aane ko hai
vo nigāh-e-mast kaif-e-husn barsāne ko hai
kuchh na kuchh to is zamāne ko maiñ samjhā huuñ zarūr
kuchh na kuchh to ye zamāna mujh ko samjhāne ko hai
chhā rahī hai zehn par ḳhushbū jamāl-e-yār kī
phir jamāl-e-yār shāyad phuul barsāne ko hai
aaj guzrī hai sabā chupke se ye kahtī huī
muzhda ai ahl-e-qafas fasl-e-bahār aane ko hai
suunā suunā lag rahā hai sub.h kā manzar mujhe
kyā ḳhayāl-e-yār mujh ko chhoḌ kar jaane ko hai
zabt kī tāqat hai baaqī ab na dil par iḳhtiyār
dīda-e-mahjūr ab to ashk barsāne ko hai
tīrgī meñ phir nazar aatī hai 'shāhid' raushnī
phir koī manzar nigāh-e-shauq dikhlāne ko hai
muntazir baiTha hun yun jaise koi aane ko hai
jalwa-e-rangin ka aalam ruh par chhane ko hai
aisa lagta hai ki phir ek inqalab aane ko hai
wo nigah-e-mast kaif-e-husn barsane ko hai
kuchh na kuchh to is zamane ko main samjha hun zarur
kuchh na kuchh to ye zamana mujh ko samjhane ko hai
chha rahi hai zehn par KHushbu jamal-e-yar ki
phir jamal-e-yar shayad phul barsane ko hai
aaj guzri hai saba chupke se ye kahti hui
muzhda ai ahl-e-qafas fasl-e-bahaar aane ko hai
suna suna lag raha hai subh ka manzar mujhe
kya KHayal-e-yar mujh ko chhoD kar jaane ko hai
zabt ki taqat hai baqi ab na dil par iKHtiyar
dida-e-mahjur ab to ashk barsane ko hai
tirgi mein phir nazar aati hai 'shahid' raushni
phir koi manzar nigah-e-shauq dikhlane ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.