muntazir baiThe hue hain sham se
muntazir baiThe hue haiñ shaam se
aur ham vāqif bhī haiñ anjām se
mil ga.e jab tum to kaisā kaam phir
ghar se ham nikle the yuuñ to kaam se
aa mirī gahrā.iyoñ meñ Duub jā
kah rahī hai ye surāhī jaam se
bhar gayā kāñToñ se dāman pyaar meñ
dil mirā vāqif na thā anjām se
rafta-rafta sub.h tak sab bujh ga.e
vo diye jo jal uThe the shaam se
le ga.e vo ik nazar meñ naqd-e-dil
luTne vaale luT ga.e ārām se
kyoñ na ho maqbūl 'rahbar' mere sher
likh rahā huuñ haT ke rāh-e-ām se
muntazir baiThe hue hain sham se
aur hum waqif bhi hain anjam se
mil gae jab tum to kaisa kaam phir
ghar se hum nikle the yun to kaam se
aa meri gahraiyon mein Dub ja
kah rahi hai ye surahi jam se
bhar gaya kanTon se daman pyar mein
dil mera waqif na tha anjam se
rafta-rafta subh tak sab bujh gae
wo diye jo jal uThe the sham se
le gae wo ek nazar mein naqd-e-dil
luTne wale luT gae aaram se
kyon na ho maqbul 'rahbar' mere sher
likh raha hun haT ke rah-e-am se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.