muntazir chashm-e-do-alam hai ki lamha bhar khule
muntazir chashm-e-do-ālam hai ki lamha bhar khule
dekhne kī taab ho to vo ruḳh-e-anvar khule
rashk hai us par sadaf ko aañkh meñ rahtā hai vo
ahl-e-dil ho jauharī to jauhar-e-gauhar khule
shab sajā.e rakhtī hai us ke liye āġhosh-e-husn
ḳhvāb meñ aa.e na ham par vo parī-paikar khule
kaam letā hai jarāhat kā nigāh-e-narm se
khulte khulte ham pe sab atvār-e-chara-gar khule
mehr-e-tābāñ us kī tābānī se jal jaa.e 'alī'
merī peshānī ko chhū kar qismat-e-nayyar khule
muntazir chashm-e-do-alam hai ki lamha bhar khule
dekhne ki tab ho to wo ruKH-e-anwar khule
rashk hai us par sadaf ko aankh mein rahta hai wo
ahl-e-dil ho jauhari to jauhar-e-gauhar khule
shab sajae rakhti hai us ke liye aaghosh-e-husn
KHwab mein aae na hum par wo pari-paikar khule
kaam leta hai jarahat ka nigah-e-narm se
khulte khulte hum pe sab atwar-e-chara-gar khule
mehr-e-taban us ki tabani se jal jae 'ali'
meri peshani ko chhu kar qismat-e-nayyar khule
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.