muntazir tha ek muddat se zamana aap ka
muntazir thā ek muddat se zamāna aap kā
ḳhair-maqdam kyoñ na hotā vālihāna aap kā
chāñd taare kar rahe haiñ mad.h-ḳhvānī aap kī
lāla-o-gul kī zabāñ par hai tarāna aap kā
nuur ke sāñche meñ Dhal kar nuur phailāne lagīñ
jab paḌā tārīkiyoñ par tāziyāna aap kā
chāñd par paḌtī hai aaqā jab kabhī merī nazar
yaad aatā hai mujhe unglī uThānā aap kā
tab se phūloñ ko taqaddus kā labāda mil gayā
jab se dekhā gulsitāñ ne muskurānā aap kā
faiz paayā hai sabhī ne aap kī ta.alīm se
kyoñ na girvīda rahe saarā zamāna aap kā
rauza-e-aqdas pe aakar kyoñ na Thahreñ qāfile
bā.is-e-taskīn-e-dil hai āstāna aap kā
aap ke ghar se chalā hai inkisārī kā chalan
sab se aalī sab se afzal hai gharānā aap kā
apne bandoñ par hai kitnā mehrbāñ rabb-e-karīm
ik subūt is kā hai rahmat ban ke aanā aap kā
dekhtā rahtā hai hasrat se zamīñ ko āsmāñ
mamba.a-e-anvār-e-rahmat hai Thikāna aap kā
hukmrānī aap ne kī boriye par baiTh kar
ḳhuub thā andāz aaqā ḳhusravāna aap kā
hai 'shakīl-ibn-e-sharaf' ke dil meñ bas ye aarzū
hashr meñ duniyā kahe is ko divāna aap kā
muntazir tha ek muddat se zamana aap ka
KHair-maqdam kyon na hota walihana aap ka
chand tare kar rahe hain madh-KHwani aap ki
lala-o-gul ki zaban par hai tarana aap ka
nur ke sanche mein Dhal kar nur phailane lagin
jab paDa tarikiyon par taziyana aap ka
chand par paDti hai aaqa jab kabhi meri nazar
yaad aata hai mujhe ungli uThana aap ka
tab se phulon ko taqaddus ka labaada mil gaya
jab se dekha gulsitan ne muskurana aap ka
faiz paya hai sabhi ne aap ki talim se
kyon na girwida rahe sara zamana aap ka
rauza-e-aqdas pe aakar kyon na Thahren qafile
bais-e-taskin-e-dil hai aastana aap ka
aap ke ghar se chala hai inkisari ka chalan
sab se aali sab se afzal hai gharana aap ka
apne bandon par hai kitna mehrban rabb-e-karim
ek subut is ka hai rahmat ban ke aana aap ka
dekhta rahta hai hasrat se zamin ko aasman
mamba-e-anwar-e-rahmat hai Thikana aap ka
hukmrani aap ne ki boriye par baiTh kar
KHub tha andaz aaqa KHusrawana aap ka
hai 'shakil-ibn-e-sharaf' ke dil mein bas ye aarzu
hashr mein duniya kahe is ko diwana aap ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.