muqabil aks ke dekho koi taswir bhi hogi
muqābil aks ke dekho koī tasvīr bhī hogī
jahāñ par ḳhvāb rakkhe the vahīñ ta.abīr bhī hogī
samundar tak pahuñch jaao to itnā dhyān meñ rakhnā
samundar paar karne kī koī tadbīr bhī hogī
mirī taqsīr-e-ulfat par to fard-e-jurm jaa.ez thī
magar ye kyā pata thā shahr meñ tash.hīr bhī hogī
tumhāre āstāne tak pahuñchnā hī pahuñchnā hai
hamāre pā-e-vahshat meñ bhale zanjīr bhī hogī
suno shahr-e-malāmat se zarā jaldī guzar jaanā
yahāñ tahqīr bhī hogī yahāñ takfīr bhī hogī
muqabil aks ke dekho koi taswir bhi hogi
jahan par KHwab rakkhe the wahin tabir bhi hogi
samundar tak pahunch jao to itna dhyan mein rakhna
samundar par karne ki koi tadbir bhi hogi
meri taqsir-e-ulfat par to fard-e-jurm jaez thi
magar ye kya pata tha shahr mein tashhir bhi hogi
tumhaare aastane tak pahunchna hi pahunchna hai
hamare pa-e-wahshat mein bhale zanjir bhi hogi
suno shahr-e-malamat se zara jaldi guzar jaana
yahan tahqir bhi hogi yahan takfir bhi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.