muqabil apne haqiqat ka aaina rakhna
muqābil apne haqīqat kā ā.īna rakhnā
añdherī raat meñ darvāza mat khulā rakhnā
ye soz-o-karb mujhe tajraboñ ne baḳhshā hai
jalānā sham.a to dāman se fāsla rakhnā
ḳhud apne vāste behtar jise samajhte ho
vahī sulūk mire vāste ravā rakhnā
na toḌī is liye maiñ ne sukūt kī zanjīr
abhī hai un se taḳhātub kā silsila rakhnā
naqāb kohre kī Daale hue hai har khaa.ī
durust apnī nigāhoñ kā zāviya rakhnā
fasīl-e-shahr-e-anā tak pahuñchne vaalā huuñ
isī tarah ye taġhāful kā silsila rakhnā
maiñ kar rahā huuñ mukammal hayāt kā paikar
jafā kā koī bhī pahlū na tum uThā rakhnā
muqabil apne haqiqat ka aaina rakhna
andheri raat mein darwaza mat khula rakhna
ye soz-o-karb mujhe tajrabon ne baKHsha hai
jalana shama to daman se fasla rakhna
KHud apne waste behtar jise samajhte ho
wahi suluk mere waste rawa rakhna
na toDi is liye main ne sukut ki zanjir
abhi hai un se taKHatub ka silsila rakhna
naqab kohre ki Dale hue hai har khai
durust apni nigahon ka zawiya rakhna
fasil-e-shahr-e-ana tak pahunchne wala hun
isi tarah ye taghaful ka silsila rakhna
main kar raha hun mukammal hayat ka paikar
jafa ka koi bhi pahlu na tum uTha rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.