muqaddar aaj-kal kuchh meherban malum hota hai
muqaddar aaj-kal kuchh meherban malum hota hai
Sarshar Hoshyarpuri
MORE BYSarshar Hoshyarpuri
muqaddar āj-kal kuchh meherbāñ ma.alūm hotā hai
zamīñ kā zarra zarra āsmāñ ma.alūm hotā hai
khaTaktā hai kabhī gul ḳhaar kī mānind āñkhoñ meñ
kabhī ḳhār-e-bayābāñ gul-fishāñ ma.alūm hotā hai
amīr-e-kārvāñ ke ham-qadam haiñ kārvāñ vaale
jise dekho amīr-e-kārvāñ ma.alūm hotā hai
hamārā hī hamārā āshiyāñ hai āshiyānoñ meñ
hamārā hī hamārā āshiyāñ ma.alūm hotā hai
muqaddar aaj-kal kuchh meherban malum hota hai
zamin ka zarra zarra aasman malum hota hai
khaTakta hai kabhi gul KHar ki manind aankhon mein
kabhi KHar-e-bayaban gul-fishan malum hota hai
amir-e-karwan ke ham-qadam hain karwan wale
jise dekho amir-e-karwan malum hota hai
hamara hi hamara aashiyan hai aashiyanon mein
hamara hi hamara aashiyan malum hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.