muqaddar aazmana chahta hun
muqaddar āzmānā chāhtā huuñ
tumhārā āstānā chāhtā huuñ
shab-e-furqat musalsal āñsuoñ se
lagī dil kī bujhānā chāhtā huuñ
ḳhudā jaane vo kis kā āstāñ hai
jahāñ maiñ sar jhukānā chāhtā huuñ
mujhe baḳhshā hai jis ne ġham usī ko
sharīk-e-ġham banānā chāhtā huuñ
tirī maḳhmūr āñkhoñ ke tasadduq
yahīñ ab Duub jaanā chāhtā huuñ
jahāñ vo naqsh-e-pā mil jaa.e mujh ko
vahīñ kā'ba banānā chāhtā huuñ
na pūchh ai 'dard' merī vus.at-e-shauq
hudūd-e-ġham baḌhānā chāhtā huuñ
muqaddar aazmana chahta hun
tumhaara aastana chahta hun
shab-e-furqat musalsal aansuon se
lagi dil ki bujhana chahta hun
KHuda jaane wo kis ka aastan hai
jahan main sar jhukana chahta hun
mujhe baKHsha hai jis ne gham usi ko
sharik-e-gham banana chahta hun
teri maKHmur aankhon ke tasadduq
yahin ab Dub jaana chahta hun
jahan wo naqsh-e-pa mil jae mujh ko
wahin ka'ba banana chahta hun
na puchh ai 'dard' meri wusat-e-shauq
hudud-e-gham baDhana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.