muqaddar apna bargashta muKhaalif aasman apna
muqaddar apna bargashta muKhaalif aasman apna
Shankar Lal Shankar
MORE BYShankar Lal Shankar
muqaddar apnā bargashta muḳhālif āsmāñ apnā
vo kyā rūThā ki dushman ho gayā saarā jahāñ apnā
ilāhī ho gayā be-vaj.h dushman bāġhbāñ apnā
kahāñ le jaa.eñ gulshan se uThā kar āshiyāñ apnā
bigaḌ jaa.e na gulchīñ hai zamāne kī havā bigḌī
banāyā to hai bulbul shāḳh-e-gul par āshiyāñ apnā
fasāna ban ke apnā 'ishq duniyā kī zabāñ par hai
diyā thā ham ne dil tum ko samajh kar rāz-dāñ apnā
vafā kī qadr kyā hotī sitam ke ho ga.e ḳhūgar
banāyā un ko dushman ham ne de kar imtihāñ apnā
ḳhudā kī zaat par ham ko to ai 'shankar' bharosā hai
balā se dushman-e-jāñ ho jo hai saarā jahāñ apnā
muqaddar apna bargashta muKHalif aasman apna
wo kya ruTha ki dushman ho gaya sara jahan apna
ilahi ho gaya be-wajh dushman baghban apna
kahan le jaen gulshan se uTha kar aashiyan apna
bigaD jae na gulchin hai zamane ki hawa bigDi
banaya to hai bulbul shaKH-e-gul par aashiyan apna
fasana ban ke apna 'ishq duniya ki zaban par hai
diya tha hum ne dil tum ko samajh kar raaz-dan apna
wafa ki qadr kya hoti sitam ke ho gae KHugar
banaya un ko dushman hum ne de kar imtihan apna
KHuda ki zat par hum ko to ai 'shankar' bharosa hai
bala se dushman-e-jaan ho jo hai sara jahan apna
- Book : Dair-o-Haram (Pg. 91)
- Author : Shankar Lal Shankar
- Publication : Sahir Hoshiyaar puri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.