muqaddar ka agar maqdur hota
muqaddar kā agar maqdūr hotā
ġham-e-ulfat se kosoñ duur hotā
mizāj-e-'ishq se mā'mūr hotā
to shāyad husn bhī majbūr hotā
latāfat meñ na itnā chuur hotā
to chuTkī meñ butoñ ke nuur hotā
jo dil rakhnā tumheñ manzūr hotā
na yuuñ afsāna-e-mansūr hotā
jo zuhd hotā agar duniyā meñ lāzim
to 'uqbā kā bhī ye dastūr hotā
kashish rakhtī agar jalvoñ kī fitrat
ba-chashm-e-muntazir kyoñ tuur hotā
na hotā bandagī par koī maa.il
agar hotā junūñ bharpūr hotā
na uThtī aañkh 'ishq-e-ḳhush-nashīñ kī
na koī husn par maġhrūr hotā
jo dil ho kar tumhārā 'shād' rahtā
to nām-e-‘āshiqī kāfūr hotā
muqaddar ka agar maqdur hota
gham-e-ulfat se koson dur hota
mizaj-e-'ishq se ma'mur hota
to shayad husn bhi majbur hota
latafat mein na itna chur hota
to chuTki mein buton ke nur hota
jo dil rakhna tumhein manzur hota
na yun afsana-e-mansur hota
jo zuhd hota agar duniya mein lazim
to 'uqba ka bhi ye dastur hota
kashish rakhti agar jalwon ki fitrat
ba-chashm-e-muntazir kyon tur hota
na hota bandagi par koi mail
agar hota junun bharpur hota
na uThti aankh 'ishq-e-KHush-nashin ki
na koi husn par maghrur hota
jo dil ho kar tumhaara 'shad' rahta
to nam-e-‘ashiqi kafur hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.