muqaddar mein likha hai gham hi gham kya
muqaddar meñ likhā hai ġham hī ġham kyā
usī ke ho ke rah jā.eñge ham kyā
dil-e-barbād meñ barsoñ rahe haiñ
ye ġham kyā dard kyā ranj-o-alam kyā
ba-juz rusvā.ī is meñ kuchh nahīñ hai
mohabbat kyā mohabbat kā bharam kyā
irāda tark-e-ulfat kā to kar luuñ
uThā saktā hai dil aisā qadam kyā
unheñ tū 'rāz' dekhegā pashemāñ
tirī āñkheñ na ho jā.eñgī nam kyā
muqaddar mein likha hai gham hi gham kya
usi ke ho ke rah jaenge hum kya
dil-e-barbaad mein barson rahe hain
ye gham kya dard kya ranj-o-alam kya
ba-juz ruswai is mein kuchh nahin hai
mohabbat kya mohabbat ka bharam kya
irada tark-e-ulfat ka to kar lun
uTha sakta hai dil aisa qadam kya
unhen tu 'raaz' dekhega pasheman
teri aankhen na ho jaengi nam kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.