muqaddas dars-gahon ki haram ki aur shiwalon ki
muqaddas dars-gāhoñ kī haram kī aur shivāloñ kī
añdhere meñ qasam khātī hai ye duniyā ujāloñ kī
zarā pahchān in majbūr insānoñ ke chehroñ ko
jo ġhairat ke sabab jur.at nahīñ karte savāloñ kī
tum apne ahd kī bāteñ kahīñ mahfūz kar lenā
muarriḳh ko zarūrat paḌtī rahtī hai havāloñ kī
hamārī shaḳhsiyat par dosto paanī na phir jaa.e
kamī mahsūs hotī hai shikāyat karne vāloñ kī
sitāre din meñ nikleñge to un ko kaun pūchhegā
añdheroñ kī badaulat qadr hotī hai ujāloñ kī
muqaddas dars-gahon ki haram ki aur shiwalon ki
andhere mein qasam khati hai ye duniya ujalon ki
zara pahchan in majbur insanon ke chehron ko
jo ghairat ke sabab jurat nahin karte sawalon ki
tum apne ahd ki baaten kahin mahfuz kar lena
muarriKH ko zarurat paDti rahti hai hawalon ki
hamari shaKHsiyat par dosto pani na phir jae
kami mahsus hoti hai shikayat karne walon ki
sitare din mein niklenge to un ko kaun puchhega
andheron ki badaulat qadr hoti hai ujalon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.