muqaddas pattharon par muddaa raushan na hone ka
muqaddas pattharoñ par mudda.ā raushan na hone kā
kahāñ sar phoḌiye ab mo.ajaza raushan na hone kā
bhaTaktā phir rahā huuñ nafs ke andhe jazīre meñ
sunā hai apne hisse kā ḳhudā raushan na hone kā
sarāyat kar ga.iiñ īmān kī ḳhush-fahmiyāñ ḳhuuñ meñ
darūn-e-qalb koī vasvasa raushan na hone kā
mire talvoñ pe masnad ho ga.e kāñTe bayābāñ ke
dil-e-vahshat-zada meñ aabla raushan na hone kā
maiñ us kī pahlī bārish ban ke pī jā.ūñgā chupke se
nahīñ to is zamīñ kā zā.iqa raushan na hone kā
muqaddas pattharon par muddaa raushan na hone ka
kahan sar phoDiye ab moajaza raushan na hone ka
bhaTakta phir raha hun nafs ke andhe jazire mein
suna hai apne hisse ka KHuda raushan na hone ka
sarayat kar gain iman ki KHush-fahmiyan KHun mein
darun-e-qalb koi waswasa raushan na hone ka
mere talwon pe masnad ho gae kanTe bayaban ke
dil-e-wahshat-zada mein aabla raushan na hone ka
main us ki pahli barish ban ke pi jaunga chupke se
nahin to is zamin ka zaiqa raushan na hone ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.