muqarrar kuchh na kuchh is mein raqibon ki bhi sazish hai
muqarrar kuchh na kuchh is mein raqibon ki bhi sazish hai
Hasrat Mohani
MORE BYHasrat Mohani
muqarrar kuchh na kuchh is meñ raqīboñ kī bhī sāzish hai
vo be-parvā ilāhī mujh pe kyuuñ garm-e-navāzish hai
pa-e-mashq-e-taġhāful aap ne maḳhsūs Thahrāyā
hameñ ye baat bhī min-jumala-e-asbāb nāzish hai
miTā de ḳhud hameñ gar shikva-e-ġham miT nahīñ saktā
jafā-e-yār se ye āḳhirī apnī guzārish hai
kahāñ mumkin kisī ko bāryābī un kī mahfil meñ
na itmīnān-e-koshish hai na ummīd-e-sifārish hai
nihāñ hai dil pazīrī jis ke har har lafz-e-shīrīñ meñ
ye kis jān-e-vafā ke haath kī rañgīñ nigārish hai
kiyā thā ek din dil ne jo dāva-e-shakebā.ī
so ab tak un ke nāz-e-dilbarī ko ham se kāvish hai
hujūm-e-yās ne be-dil kiyā aisā ki 'hasrat' ko
tire aane kī ab ummīd baaqī hai na ḳhvāhish hai
muqarrar kuchh na kuchh is mein raqibon ki bhi sazish hai
wo be-parwa ilahi mujh pe kyun garm-e-nawazish hai
pa-e-mashq-e-taghaful aap ne maKHsus Thahraya
hamein ye baat bhi min-jumala-e-asbab nazish hai
miTa de KHud hamein gar shikwa-e-gham miT nahin sakta
jafa-e-yar se ye aaKHiri apni guzarish hai
kahan mumkin kisi ko baryabi un ki mahfil mein
na itminan-e-koshish hai na ummid-e-sifarish hai
nihan hai dil paziri jis ke har har lafz-e-shirin mein
ye kis jaan-e-wafa ke hath ki rangin nigarish hai
kiya tha ek din dil ne jo dawa-e-shakebai
so ab tak un ke naz-e-dilbari ko hum se kawish hai
hujum-e-yas ne be-dil kiya aisa ki 'hasrat' ko
tere aane ki ab ummid baqi hai na KHwahish hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.