muqarrebin mein ramz-ashna kahan nikle
muqarrebīn meñ ramz-āshnā kahāñ nikle
jo ajnabī the vahī apne rāz-dāñ nikle
haram se bhaag ke pahuñche jo dair-e-rāhib meñ
to ahl-e-dair hamāre mizāj-dāñ nikle
bahut qarīb se dekhā jo fauj-e-a.adā ko
to har qatār meñ yārān-e-mehrbāñ nikle
qalandaroñ se milā muzhda-e-subuk-rūhī
jo bazm-e-hosh se nikle to sar-garāñ nikle
qabīla-e-haram o qaum-e-dair o firqa-e-riñd
hamāre chāhne vaale kahāñ kahāñ nikle?
sukūt-e-shab ne sikhāyā hameñ salīqa-e-nutq
jo zākirān-e-sahar the vo be-zabāñ nikle
miyān-e-rāh khaḌe haiñ is intizār meñ ham
ki gard-e-rāh haTe aur kārvāñ nikle
gumāñ ye thā ki pas-e-koh bastiyāñ hoñgī
vahāñ ga.e to mazārāt-e-be-nishāñ nikle
gire zamīñ pe jo haft āsmāñ se Takrā ke
to har qadam pe yahāñ aur haft-ḳhvāñ nikle
ufuq se apne to dhuñdlā sā ik ġhubār uThā
phir is ke baa'd sitāroñ ke kārvāñ nikle
kabhī kabhī to har ik saañs par huā mahsūs
ki jaise qālib-e-ātish-zada se jaañ nikle
samajh rahā thā zamāna jinheñ nufūs-e-jamāl
vo sirf chand nafas-hā-e-ḳhūñ-chakāñ nikle
kamāl-e-shauq se chheḌā thā jin ko mutrib ne
vo raag saaz ke siine se nauha-ḳhvāñ nikle
'ra.īs' hujra-e-tārīk-jāñ ko khol to duuñ?
jo koī āfat-e-qattāla-e-jahāñ nikle
muqarrebin mein ramz-ashna kahan nikle
jo ajnabi the wahi apne raaz-dan nikle
haram se bhag ke pahunche jo dair-e-rahib mein
to ahl-e-dair hamare mizaj-dan nikle
bahut qarib se dekha jo fauj-e-ada ko
to har qatar mein yaran-e-mehrban nikle
qalandaron se mila muzhda-e-subuk-ruhi
jo bazm-e-hosh se nikle to sar-garan nikle
qabila-e-haram o qaum-e-dair o firqa-e-rind
hamare chahne wale kahan kahan nikle?
sukut-e-shab ne sikhaya hamein saliqa-e-nutq
jo zakiran-e-sahar the wo be-zaban nikle
miyan-e-rah khaDe hain is intizar mein hum
ki gard-e-rah haTe aur karwan nikle
guman ye tha ki pas-e-koh bastiyan hongi
wahan gae to mazaraat-e-be-nishan nikle
gire zamin pe jo haft aasman se Takra ke
to har qadam pe yahan aur haft-KHwan nikle
ufuq se apne to dhundla sa ek ghubar uTha
phir is ke ba'd sitaron ke karwan nikle
kabhi kabhi to har ek sans par hua mahsus
ki jaise qalib-e-atish-zada se jaan nikle
samajh raha tha zamana jinhen nufus-e-jamal
wo sirf chand nafas-ha-e-KHun-chakan nikle
kamal-e-shauq se chheDa tha jin ko mutrib ne
wo rag saz ke sine se nauha-KHwan nikle
'rais' hujra-e-tarik-jaan ko khol to dun?
jo koi aafat-e-qattala-e-jahan nikle
- Book : Hikayat-e-nai (Pg. 27)
- Author : Rais Amrohvi
- Publication : Rais Acadami, Garden Est. Krachi-3 (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.