muraqqa pahle apna aaina-KHane mein rakh dena
muraqqa.a pahle apnā ā.ina-ḳhāne meñ rakh denā
yahī ā.īna-ḳhāna dil ke kāshāne meñ rakh denā
pas-e-murdan hamārī laash mai-ḳhāne meñ rakh denā
kisī ko uzr ho is meñ to vīrāne meñ rakh denā
sharāb-e-kaif-o-mastī dil ke paimāne meñ rakh denā
ye paimāna murattab ho to maiḳhāne meñ rakh denā
butān-e-māh-vash is ghar kī aksar sair karte haiñ
mirā dil aur jigar bhī jā ke but-ḳhāne meñ rakh denā
isī sūrat tumhārī bazm meñ mil jā.egā rasta
mirā armān-e-dil bhī apne parvāne meñ rakh denā
rahegā kaif yuuñ baaqī rahegā hosh yuuñ saaqī
ki merā qalb-e-muztar apne maiḳhāne meñ rakh denā
tumheñ dekhūñ tumhārī har adā-e-husn ko dekhūñ
surūr apnā mirī āñkhoñ ke paimāne meñ rakh denā
namāz-e-ishq paḌhnī hai butoñ ke paañv par jā kar
jo sāmān-e-vuzū hai vo sanam ḳhāne meñ rakh denā
fanā ke baad kaisā imtiyāz-e-bāġh-o-vīrāna
hameñ bastī meñ rakh denā ki vīrāne meñ rakh denā
ḳhushā-qismat suneñ vo aur qissa-ḳhvāñ se maiñ kah duuñ
ki ik TukḌā ġham-e-furqat kā afsāne meñ rakh denā
ye mai-ḳhāna ḳhudā-ḳhāna sanam-ḳhāna usī kā hai
nahīñ parvā 'umar' mujh ko kisī ḳhāne meñ rakh denā
muraqqa pahle apna aaina-KHane mein rakh dena
yahi aaina-KHana dil ke kashane mein rakh dena
pas-e-murdan hamari lash mai-KHane mein rakh dena
kisi ko uzr ho is mein to virane mein rakh dena
sharab-e-kaif-o-masti dil ke paimane mein rakh dena
ye paimana murattab ho to maiKHane mein rakh dena
butan-e-mah-wash is ghar ki aksar sair karte hain
mera dil aur jigar bhi ja ke but-KHane mein rakh dena
isi surat tumhaari bazm mein mil jaega rasta
mera arman-e-dil bhi apne parwane mein rakh dena
rahega kaif yun baqi rahega hosh yun saqi
ki mera qalb-e-muztar apne maiKHane mein rakh dena
tumhein dekhun tumhaari har ada-e-husn ko dekhun
surur apna meri aankhon ke paimane mein rakh dena
namaz-e-ishq paDhni hai buton ke panw par ja kar
jo saman-e-wuzu hai wo sanam KHane mein rakh dena
fana ke baad kaisa imtiyaz-e-bagh-o-virana
hamein basti mein rakh dena ki virane mein rakh dena
KHusha-qismat sunen wo aur qissa-KHwan se main kah dun
ki ek TukDa gham-e-furqat ka afsane mein rakh dena
ye mai-KHana KHuda-KHana sanam-KHana usi ka hai
nahin parwa 'umar' mujh ko kisi KHane mein rakh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.