murattab ho ke ek mahshar ghubar-e-dil se niklega
murattab ho ke ek mahshar ghubar-e-dil se niklega
Seemab Akbarabadi
MORE BYSeemab Akbarabadi
murattab ho ke ik mahshar ġhubār-e-dil se niklegā
nayā ik kārvāñ gard-e-rah-e-manzil se niklegā
hamāre muñh se aur shikva tumhārā ho nahīñ saktā
tumhārā naam bhī shāyad baḌī mushkil se niklegā
na hogā gosha-e-dāman mirā vābasta-e-manzil
na jab tak haath terā parda-e-manzil se niklegā
mirī āñkheñ haiñ bazm-e-rañg-o-bū meñ muntazir terī
nahīñ ma.alūm tū kab tak hijāb-e-dil se niklegā
maiñ apne dil ko yuuñ pesh-e-nazar 'sīmāb' rakhtā huuñ
ki merā chāñd jab niklā isī manzil se niklegā
murattab ho ke ek mahshar ghubar-e-dil se niklega
naya ek karwan gard-e-rah-e-manzil se niklega
hamare munh se aur shikwa tumhaara ho nahin sakta
tumhaara nam bhi shayad baDi mushkil se niklega
na hoga gosha-e-daman mera wabasta-e-manzil
na jab tak hath tera parda-e-manzil se niklega
meri aankhen hain bazm-e-rang-o-bu mein muntazir teri
nahin malum tu kab tak hijab-e-dil se niklega
main apne dil ko yun pesh-e-nazar 'simab' rakhta hun
ki mera chand jab nikla isi manzil se niklega
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 242)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.