murda ho jate hain dil maut se Darne wale
murda ho jaate haiñ dil maut se Darne vaale
zinda rahte haiñ tire naam pe marne vaale
kaun sachchā.ī se muñh pher ke jī saktā hai
manzileñ paate haiñ haq rah se guzarne vaale
hādse jab nayā kirdār vaz.a karte haiñ
inqalāb aate haiñ duniyā meñ nikharne vaale
ghaav hathiyār kā hotā to koī baat na thī
zaḳhm alfāz ke yuuñ hī nahīñ bharne vaale
tum badal saktī ho is daur kā naqsha koī
ḳhud to 'chashma' nahīñ hālāt badalne vaale
murda ho jate hain dil maut se Darne wale
zinda rahte hain tere nam pe marne wale
kaun sachchai se munh pher ke ji sakta hai
manzilen pate hain haq rah se guzarne wale
hadse jab naya kirdar waza karte hain
inqalab aate hain duniya mein nikharne wale
ghaw hathiyar ka hota to koi baat na thi
zaKHm alfaz ke yun hi nahin bharne wale
tum badal sakti ho is daur ka naqsha koi
KHud to 'chashma' nahin haalat badalne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.