murdon ki zindagi ke liye kya dua karen
murdoñ kī zindagī ke liye kyā duā kareñ
is past āgahī ke liye kyā duā kareñ
az-ḳhud hameñ nahīñ hai mayassar nazar sadā
aise meñ ham kisī ke liye kyā duā kareñ
be-rabt bad-havās kamar se alag thalag
ham aisī chāñdnī ke liye kyā duā kareñ
milne the jo bhī dard masarrat so mil ga.e
ab vaqt-e-āḳhirī ke liye kyā duā kareñ
goyā zamīn kā na falak kā huā 'azīz'
bolo ki is ḳhudī ke liye kyā duā kareñ
murdon ki zindagi ke liye kya dua karen
is past aagahi ke liye kya dua karen
az-KHud hamein nahin hai mayassar nazar sada
aise mein hum kisi ke liye kya dua karen
be-rabt bad-hawas kamar se alag thalag
hum aisi chandni ke liye kya dua karen
milne the jo bhi dard masarrat so mil gae
ab waqt-e-aKHiri ke liye kya dua karen
goya zamin ka na falak ka hua 'aziz'
bolo ki is KHudi ke liye kya dua karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.