Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

murgh zirak aql ka hai ishq ka sayyaad shoKH

Alimullah

murgh zirak aql ka hai ishq ka sayyaad shoKH

Alimullah

MORE BYAlimullah

    murġh zīrak aql hai ishq sayyād shoḳh

    aql hai bisyār shīrīñ ishq farhād shoḳh

    aql apne daam meñ kartā hai kul aalam ko qaid

    band aur zanjīr suuñ nit ishq hai āzād shoḳh

    aql būjhā āshiqāñ sab vājibuttāzīr haiñ

    qātil-e-aql-o-fahm hai ishq jallād shoḳh

    aql ko sab mulk meñ hai daad insāf-o-adal

    kyā nihāyat ishq hai bādshah be-dād shoḳh

    fahm aur fikrat meñ apnī aql gar faulād hai

    aab kartā hai galā kar ishq haddād shoḳh

    aql ke mīzāñ meñ aayā bahr aur bar hisāb

    nahiñ magar aayā adad meñ ishq ta.adād shoḳh

    aql suuñ jaane guzar tab āshiqāñ paate haiñ vasl

    ai 'alīmullāh' ajab hai ishq irshād shoḳh

    murgh zirak aql ka hai ishq ka sayyaad shoKH

    aql hai bisyar shirin ishq ka farhad shoKH

    aql apne dam mein karta hai kul aalam ko qaid

    band aur zanjir sun nit ishq hai aazad shoKH

    aql bujha aashiqan sab wajibuttazir hain

    qatil-e-aql-o-fahm hai ishq ka jallad shoKH

    aql ko sab mulk mein hai dad insaf-o-adal

    kya nihayat ishq ka hai baadshah be-dad shoKH

    fahm aur fikrat mein apni aql gar faulad hai

    aab karta hai gala kar ishq ka haddad shoKH

    aql ke mizan mein aaya bahr aur bar ka hisab

    nahin magar aaya adad mein ishq ka tadad shoKH

    aql sun jaane guzar tab aashiqan pate hain wasl

    ai 'alimullah' ajab hai ishq ka irshad shoKH

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now