murjhaya kabhi dil ko shagufta paya
murjhāyā kabhī dil ko shagufta paayā
har baar nayā zaḳhm-e-tamannā paayā
har guzre hue vaqt ko anqā paayā
aate hue lamhāt ko dhuñdlā paayā
kitne hī masīhā the jo qātil nikle
qātil jise samjhe the masīhā paayā
dekhūñ to gumāñ ā.ina-bīnī kā ho
ab tak na koī duniyā meñ aisā paayā
yaad aa ga.ī maazī kī baḌī shiddat se
māthe kī lakīroñ ko jo gahrā paayā
jī meñ thā ki auroñ kā tamāshā dekhūñ
hosh aayā to ḳhud ko hī tamāshā paayā
ḳhvāboñ ke ka.ī jaam piye āñkhoñ ne
ḳhvāboñ se magar dil na bahaltā paayā
'iqbāl' mire haal se ye zāhir hai
kyā dil kī tamanna thī magar kyā paayā
murjhaya kabhi dil ko shagufta paya
har bar naya zaKHm-e-tamanna paya
har guzre hue waqt ko anqa paya
aate hue lamhat ko dhundla paya
kitne hi masiha the jo qatil nikle
qatil jise samjhe the masiha paya
dekhun to guman aaina-bini ka ho
ab tak na koi duniya mein aisa paya
yaad aa gai mazi ki baDi shiddat se
mathe ki lakiron ko jo gahra paya
ji mein tha ki auron ka tamasha dekhun
hosh aaya to KHud ko hi tamasha paya
KHwabon ke kai jam piye aankhon ne
KHwabon se magar dil na bahalta paya
'iqbaal' mere haal se ye zahir hai
kya dil ki tamanna thi magar kya paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.