main diwana hun wo bhi diwani hai
maiñ divāna huuñ vo bhī divānī hai
'ishq kī ham ko choT khānī hai
'umr-e-rafta ko dekhne ke liye
mujh ko 'umr-e-ravāñ baḌhānī hai
zimmedārī kā bojh uTh na sakā
nā-tavānī hī nā-tavānī hai
sansanī hijr kī yuuñ phailī hai
lag rahā hai ki nauha-ḳhvānī hai
khol do qufl-e-zang-ālūda
tishnagī barsoñ kī bujhānī hai
laakh mushkil sahī magar phir bhī
zindagānī to zindagānī hai
hijr kī rātoñ kā shahanshah huuñ
tīrgī merī naukrānī hai
ranj kā raag kis ne chheḌā hai
aaj to merī aqd-ḳhvānī hai
dost haq par jo mar gayā us kī
tā-qayāmat amar kahānī hai
tiir mizhgāñ ke lag ga.e dil par
is liye jism arġhavānī hai
sar-girānī se ḳhuub lagtā hai
ki mohabbat zarar-fishānī hai
terā kirdār murtazā 'bismil'
terā kirdār jāvedānī hai
main diwana hun wo bhi diwani hai
'ishq ki hum ko choT khani hai
'umr-e-rafta ko dekhne ke liye
mujh ko 'umr-e-rawan baDhani hai
zimmedari ka bojh uTh na saka
na-tawani hi na-tawani hai
sansani hijr ki yun phaili hai
lag raha hai ki nauha-KHwani hai
khol do qufl-e-zang-aluda
tishnagi barson ki bujhani hai
lakh mushkil sahi magar phir bhi
zindagani to zindagani hai
hijr ki raaton ka shahanshah hun
tirgi meri naukrani hai
ranj ka rag kis ne chheDa hai
aaj to meri aqd-KHwani hai
dost haq par jo mar gaya us ki
ta-qayamat amar kahani hai
tir mizhgan ke lag gae dil par
is liye jism arghawani hai
sar-girani se KHub lagta hai
ki mohabbat zarar-fishani hai
tera kirdar murtaza 'bismil'
tera kirdar jawedani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.